Sunday, December 27, 2009

Kishore Kumar Sings : Guni Jano Bhakt Jano

[youtube=http://www.youtube.com/watch?v=Etx0Y5YmACs&color1=0xb1b1b1&color2=0xcfcfcf&hl=en_US&feature=player_embedded&fs=1]
guni jano re bhakt jano
hari nam se nata re jodo bhayi maya se munh modo re
jagat narayan ki jai jai bolo bolo
nagad narayan ko chhodo re, jagat narayan ki

are rajdhan, are gajdhan, gajdhan rajdhan
rajdhan gajdhan rajdhan anajdhan
lal ratan dhan khan re
aayo re jab santosh-dhan baba sab dhan dhul saman re
bolo re sab dhan dhool samaan re
dhan to hai deewar ret ki, dhan se priti todo re, jagat narayan ki

jai govindam jai gopalam

duniya karti rup ki bhakti kaisi maya-roop re
arre ham to uske bhakt hain bhakto jisne banaya roop re
sundar nari pritam pyari chhavi dikhalaye
jai govindam jai gopalam
suno suno chal chitram ki katha sunaye
katha sunaye bhakt kishoram, jai govindam

brahmaande he koti sitaram prithvi par bhi anek sitaram
arre aashirvadam ashokakumaram
prithvi-putram raja-kapuram shammi-kapuram shashi-kapuram
ramam shyamam dilip-kumaram purab-pashchim manoj-kumaram
arre premapujari dev-anandam, roopa-pujari IS-joharam
arre nilam-kamalam raj-kumaram, yade yadam sunil-dattam
are ittefaqam rajesh-khannam jai jaani rajendra-natham
uchhalamakudam jai mahamudam

are swarg lok mei ek hai indra, arre prithvi karey hain teen indra
arre jai jitendra jai dharmendra jai-jai-jai ho jai rajendra, jai govindam
jagat narayan ko chhod ke santo, nagad narayan ke hain sab yaram
nagad narayan ke

in sabake pichhe arre pad gaya income taxam
arre bam bam nache kishor-kumaram, bam bam nache

No comments: