Thursday, December 24, 2009

'sarfaroshi ki tamanna' revisited

piyush mishra re-wrote the legendary song for the movie 'gulaal' keeping in mind the current scenario. and he has done a wonderful job.



sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mei hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qaatil mei hai
waqt aane pe bataa denge tujhe aye aasmaan
hum abhi se kya bataye kya hamare dil mei hai


o re bismal kaash aate aaj tum hindustaan
dekhte ki mulk saara kya tashan kya chill mei hai
aaj ka launda yeh kehta 'hum to bismil thak gaye
apni aazaadi to bhaiyya laundiya ke til mei hai'


aaj ke jalso mei bismil ek goonga gaa raha
aur behron ka wo rela naachta mehfil mei hai
haath ki khaadi banaane ko zamaana lag gaya
aaj to chaddi bhi silti angrezo ki mill mei hai


dekhna hai zor kitna bazu-e-qaatil mei hai
waqt aane pe bataa denge tujhe aye asmaan
hum abhi se kya bataye kya hamare dil mei hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mei hai

No comments: