Monday, May 10, 2010

'ye duniya agar mil bhi jaye to kya hai' revisited

Piyush Mishra has carried forward from where Sahir had left-off. In his mesmerizing words he reminds what a worthless life it is and what worthless causes we are chasing at our own expense. He also makes a reference to Iqbal's sitaron ke aage jahan aur bhi hai beautifully.
http://img1.chakpak.com/se_images/1465187_-1_564_none/gulaal-wallpaper.jpg 
O ri Duniya…
Surmayi aankhon ke pyaalo ki duniya
Satrangi rangon, gulaalo ki duniya
Alsaayi sejon ke phoolon ki duniya
Angdayi todey kabootar ki duniya
Karvat le soyi hakeekat ki duniya
Deevani hoti tabiyat ki duniya
Khwahish me lipti zaroorat ki duniya
Insaan ke sapno ki, niyat ki duniya





























Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
Mamta ki bikhri kahani ki duniya
Behno ki siski, jawani ki duniya
Aadam ke Havva se rishte ki duniya
Shayar ke pheeke lafzon ki duniya
Ghalib ke, Momin ke khwabon ki duniya
Mijaazon ke, un inquilabon ki duniya
Faiz, Firaq-O-Sahil-O-Makhdoom, Mir ki, Zauk ki, Daagon ki duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai…
Palchhin me baatein chali jati hain
Palchhin me raatein chali jati hain
Reh jata hai jo savera vo dhoonde
Jalte makaan me basera vo dhoonde
Jaisi bachi hai, vaisi ki vaisi bacha lo ye duniya
Apna samajhke, apno ke jaisi utha lo ye duniya
Chhut-put si baaton mein jalne lagegi, sambhalo ye duniya
Kat-pit ke raaton mein palne lagegi, sambhalo ye duniya
O ri duniya…
Vo kahey hai ki duniya ye itni nahi hai
Sitaron se aage jahan aur bhi hai
Yeh hum hi nahi hai, vahan aur bhi hai
Hamari har ek baat hoti vahin hai
Humey aitraaz nahi hai kahin bhi
Vo Aalim hai, Faazil hai, honge sahi hi
Magar falsafa ye bigad jata hai jo vo kehte hain
Aalim ye kehta vahan Eeshwar hai
Fazil ye kehta vahan Allah hai
Qatil ye kehta vahan Eesa hai
Manzil ye kehti tab insaan se ki
Tumhari hai tum hi sambhalo ye duniya
Yeh bujhte huay chand basi chiraagon
Tumhare ye kaale iraado ki duniya…

No comments: