Friday, April 30, 2010

Raavan Lyrics : Behne De

Arre aankh se boond gira koi
Chingari ka tukda jala koi
Umeed ko aag laga zara
Sehra ki pyaas bujha zara

Umeed ko aag laga zara
Sehra ki pyaas bujha zara
Ghan itna baras ke galne lagoon
Mein paani ke upar tarne lagoon

Behne de mujhe behne de mujhe
Behne de mujhe behne de

Behne de ghangor ghata
Behne de paani ki tarah
Saagar mein jaa girna hai
Behne de nadiya ki tarah

Shart lagi hai mar jaane ki
Jeena hai toh pyaar mei
Dil kahin bhi ho mera
Jaan rakhi hai yaar mei
Behja behja hai saagar ka kehna
Behja behja hai nadiya ko behna

Patte se tapakti boond ki awaaz sunai di thi
Nadiya mein tapak aur gum ho ja
Beh gaya beh gaya jo reh gaya reh gaya
Beh gaya beh gaya jo reh gaya reh gaya
Behne de mujhe behene de mujhe
Behne de mujhe behene de

Mera pal-pal ang-ang bhar diya
Tuney jaan pe junoon saa kar diya
Mera hai kya jo main haar doon
Jaan teri hai tujh pe vaar doon
Doob gaye jo suna hai saare
Tere dere aate hain
Dil ko chulu mein bechare
Doobkiyan gotey khaate hain

Beh ja behja chal todh kinaare ko
Behja behja dhar le majhdhaare ko

Chingari udha ke raakh se
Ek boond gira ke aankh se
Chalne ka ishaara kar gaya

Kar gaya kar gaya sab bhar gaya bhar gaya
Kar gaya kar gaya sab bhar gaya bhar gaya
Behne de mujhe behene de mujhe
Behne de mujhe behene de

No comments: